0 comments Wednesday, February 23, 2005

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,


tum MA 1st division ho, main hua metric fel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,


tum fauji afsar ki beti, main to kisaan ka beta hoon,
tum rabadi kheer malai ho, main to sattu sapreta hoon,
tum AC ghar mein rahti ho, main ped ke neeche leta hoon,
tum nai maruti lagti ho, main scooter lamreta hoon,
is kadar agar hum chhup-chhup kar aapas me prem badhaenge ,
ek roz tere daddy amrish puri ban jaaenge,
sab haddi pasli tod mujhe bhijwaa denge vo jail priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum arab desh kee ghodi ho, main hoon gadahe ki naal priye,
tum deewali ka bonus ho, main bhookho ki hadtaal priye,
tum heere jadi tashtari ho, main almunium ka thaal priye,
tum chicken-soop biryani ho, main kankad waali daal priye,
tum hiran-chaokadi bharti ho, main hoon kachue ki chaal priye,
tum chandan-wan ki lakdi ho, main hoon babool ki chaal priye,
main pake aam sa latka hoon, mat maaro mujhe gulel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main shani-dev jaisa kuroop, tum komal kanchan kaya ho,
main tan-se man-se kanshi ram, tum maha chanchala maya ho,
tum nirmal paawan ganga ho, main jalta hua patanga hoon,
tum raaj ghaat ka shanti march, main hindu-muslim danga hoon,
tum ho poonam ka taajmahal, main kaali gufa ajanta ki,
tum jet vimaan ki shobha ho, main bus ki thelam-thel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum nai videshi mixi ho, main patthar ka silbatta hoon,
tum AK-saintalis jaisi, main to ik desi katta hoon,
tum chatur raabadi devi si, main bhola-bhala laalu hoon,
tum mukt sherni jangal ki, main chidiyaghar ka bhaalu hoon,
tum vyast sonia gandhi si, main v.p.singh sa khali hoon,
tumhari hansi madhuri dixit ki, main policeman ki gaali hoon,
kal jel agar ho jaaye to dilwa dena tum bel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main dhabe ke dhaanche jaisa, tum paanch sitara hotel ho,
main mahue ka desi tharra, tum red-label ki botel ho,
tum chitra-haar ka madhur geet, main krishi-darshan ki jhaadi hoon,
tum vishva-sundari si kamaal, main teliya chaap kabadi hoon,
tum sony ka mobile ho, main telephone waala chonga,
tum machli maansarovar ki, main saagar tat ka hoon ghongha,
dus manzil se gir jaaooga, mat aage mujhe dhakel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

tum satta ki maharani ho, main vipaksha ki lachari hoon,
tum ho mamta-jailalita si, main kwara atal-bihari hoon,
tum tendulkar ka shatak priye, main follow on ki paari hoon,
tum getz, matiz, corolla ho, main Leyland ki lorry hoon,
mujhko refree hi rehne do, mat khelo mujhse khel priye,

mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,

main soch raha ki rahe hain kabse, shrota mujhko jhel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye.
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye.




Dont know the source. But courtsey to Sai Karun for sending this mail
With due acknowledge to original creator.....

1 comments Thursday, February 10, 2005

Me Nathuram Godse Boltoy



Nobody would belive that I went to see a Marathi play. But yes I did on 10th of feb. It was “Me Nathuram Godse boltoy”.

A person like me who can understand only common flowing marathi spoken in day to day life (that too ~80%) did enjoyed the play like anything

The guy “Sharad Ponkshe” was great. I really liked his act & style of presentation.

Albeit I was able to graps only 70% of the language / words but when you ask me to say words for the play I have only one: “Superb”

A must see play if u haven’t seen one yet, I wish if they can make one in Hindi also for common people to understand.

Its not about what gandhi did & why he was killed, but it was a person called "Nathuram Godse"

he was a common Gandhi lover man, he had something in mind & he did what he felt good. I really loved the peronality of Nathu as shown in the play.

A cool guy with no fear in mind even from death
The way he lived after doing the "WADH" not "KHOON" of Gandhi till his DDay was really wonderfully played by Sharad.


Thanks to my Marathi friend here to take me to the play.

A must see if you can understand even a little bit of Marathi.